dil KHush na hua zulf-e-pareshan se nikal kar
pachhtae hum is sham-e-ghariban se nikal kar
ye us se ziyan-kar to wo is se bad aaen
jaun main kahan gabr o musalman se nikal kar
ustad koi zor mila qais ko shayad
li rah jo jangal ki dabistan se nikal kar
malum nahin mujh ko ki jawega kidhar ko
yun sina tera chaak-e-gareban se nikal kar
guzra rag-e-gardan se ki jun shama sar apna
talwar hi khata hai gareban se nikal kar
na-zori mein aaya na kabhu ta-sar-mizhgan
yak qatra-e-KHun bhi bun-e-mizhgan se nikal kar
tiron mein kaman-dar mera gher le jis ko
wo jaane na pawe kabhi maidan se nikal kar
hum aap fana ho gae ai hasti-e-mauhum
jun mauj-e-tabassum lab-e-jaanan se nikal kar
surat ke teri samne rah jae hai kaise
har but ki nigah dida-e-hairan se nikal kar
us dast-e-hinai mein raha aaina akasr
dariya na gaya panja-e-marjaan se nikal kar
ab paDh wo ghazal 'mushafi' tu shusta o rafta
sunne jise KHalq aae safahan se nikal kar
Ghazal
Dil KHush na hua zulf-e-pareshan se nikal kar
Mushafi Ghulam Hamdani

