dil khoTa hai hum ko us se raaz-e-ishq na kahna tha
ghar ka bhedi lanka Dhae itna samjhe rahna tha
kyun hanste ho main jo barahna aaj junun ke hathon hun
kuchh din guzre main ne bhi bhi rang libas ek pahna tha
naza ke waqt aae ho tum ab puchh rahe ho kya mujh se
haalat meri sab kah guzri jo kuchh tum se kahna tha
aa ke gaya wo roya kin ye harj hua nazzare mein
aankhen kuchh nasur nahin thin jin ko har dam bahna tha
himmat haare ji de baiThe sab lazzat khoi ai 'shauq'
marne ki jaldi hi kya thi ishq ka gham kuchh sahna tha
Ghazal
Dil khoTa hai hum ko us se raaz-e-ishq na kahna tha
shauq Qidvai