dil kho gaya hamara kisi se mila ke hath
ho dastaras to kaTiye duzd-e-hina ke hath
ek tasma rah gaya hai rag-e-jaan ka laga hua
jhuTa paDa hai aah kahan un ka ja ke hath
hathon pe hum ko nag khilane ki mashq hai
chhute hain hum jabhi tere gesu baDha ke hath
phaila le panw khol ke dil ai shab-e-firaq
baiThe hain hum bhi zist se apni uTha ke hath
kyun hath-paon mere KHushi se na bhul jaen
ungli chubowe hath mein jab wo mila ke hath
wo aaDe hathon lun ki akaD sari bhul jae
munh ki na khana shaiKH-ji hum se mila ke hath
sarson jamani hathon pe yun sikh le koi
dil se mila liya hai dil un se mila ke hath
ye bekasi ke hathon hua hai hamara haal
paigham bhejte hain hum un ko saba ke hath
'kaifi' na nazuki pe tum is but ki bhulna
dekhe nahin abhi kisi nazuk-ada ke hath
Ghazal
Dil kho gaya hamara kisi se mila ke hath
Dattatriya Kaifi