اردو हिंदी
Dil-KHastagan mein dard ka aazar koi to aae | Shaahi Shayari
dil-KHastagan mein dard ka aazar koi to aae

Ghazal

Dil-KHastagan mein dard ka aazar koi to aae

Aziz Qaisi

;

dil-KHastagan mein dard ka aazar koi to aae
patthar se mere KHwab ka paikar koi to aae

dariya bhi ho to kaise Dubo den zamin ko
palkon ke par gham ka samundar koi to aae

chaukhaT se haal puchha to bazar se suna
ek din gharib-KHane ke andar koi to aae

jo zaKHm doston ne diye hain wo chhup to jaen
par dushmanon ki samt se patthar koi to aae

hain nauhagar hazar sana-KHwan hazar hain
mere siwae tir ki zad par koi to aae

lakhon jab aa ke ja chuke kya mil gaya miyan
ab bhi ye sochte ho payambar koi to aae

shikwa durust 'qaisi' ke paiham sukut ka
lekin is anjuman mein suKHnawar koi to aae