dil ke zaKHmon ko hara karte hain
kyun tujhe yaad kiya karte hain
in andheron ko hiqarat se na dekh
ye charaghon ka bhala karte hain
sari baaten nahin mani jatin
bachche to zid hi kiya karte hain
itna socha hai tere bare mein
ab tere haq mein dua karte hain
parsa duniya mein koi bhi nahin
aadmi sare KHata karte hain
ab to ghazlon ke hawale se tera
zikr duniya se kiya karte hain

Ghazal
Dil ke zaKHmon ko hara karte hain
Rais Siddiqui