dil ke virane ko mahfil ki taraf le chaliye
kyun samundar ko na sahil ki taraf le chaliye
aashna raaz-e-haqiqat se tabhi honge hum
har haqiqat ko jo baatil ki taraf le chaliye
us ki talwar ki tarif sunun main kab tak
pahle mujh ko mere qatil ki taraf le chaliye
maut manzil hai masiha ki to phir kya kahna
zindagi ko usi mahfil ki taraf le chaliye
kaba o dair ke gumrahon ka anjam hi kya
yahi behtar hai unhen dil ki taraf le chaliye
log mushkil ko jab aasani ki jaanib le jaen
aap aasani ko mushkil ki taraf le chaliye
sair-e-mahtab bahut KHub sahi phir bhi 'niyaz'
dil ko mahtab-e-shamail ki taraf le chaliye
Ghazal
Dil ke virane ko mahfil ki taraf le chaliye
Niyaz Haidar