dil ke viran raste bhi dekh
aankh ki mar se pare bhi dekh
chaar su gunjte hain sannaTe
kabhi sunsan maqbare bhi dekh
kanpti hain lawen charaghon ki
raushni ko qarib se bhi dekh
sozish-e-furqat-e-musalsal se
aanch dete hain qahqahe bhi dekh
band honTon ki naghmagi bhi sun
soti aankhon ke ratjage bhi dekh
dekhna ho agar kamal apna
aaina dekh kar mujhe bhi dekh
Ghazal
Dil ke viran raste bhi dekh
Ahmad Rahi