dil ke sukun ke waste bhaTke kahan kahan
TuTe hazar martaba bikhre kahan kahan
aaKHir to bah gaya meri aankhon se zar zar
ashkon ka aabshaar hai simTe kahan kahan
jab hadse hi hadse apna nasib hain
kis kis pe roe aankh ye barse kahan kahan
KHushbu hamari pa ke wo lauT aaega kabhi
barson isi umid mein mahke kahan kahan
aap aarzu ki shakl mein kitne qarib hain
hum justuju mein aap ki bhaTke kahan kahan
qismat hai sath agar to dua bhi hai pur-asar
warna kiye hain hum ne bhi sajde kahan kahan

Ghazal
Dil ke sukun ke waste bhaTke kahan kahan
Musavvir Firozpuri