dil ke shajar ko KHun se gulnar dekh kar
KHush hun nai bahaar ke aasar dekh kar
sahra bhale ki zehan ko kuchh to sukun mile
ghabra gaya hun shahar ke bazar dekh kar
aage baDhe to tirgi-e-shab ne aa liya
nikle the ghar se subh ke aasar dekh kar
aansu gire to dil ki zamin aur jal uThi
barsa hai abr KHak ka mear dekh kar
sare jahan ko halqa-e-matam samajh liya
apna wajud nuqta-e-pur-kar dekh kar
auron ko tu ne daulat-e-kaunain banT di
gham mujh ko de diya hai saza-war dekh kar
baiThe to aanch dene lagi pipalon ki chhanw
aae the log saya-e-ashjar dekh kar
jis tarah koi bachhDa hua dost mil gaya
hum muskura diye rasan-o-dar dekh kar
baiTha hun apne fikr ke sae mein der se
har aashna ko un ka taraf-dar dekh kar
'zulfi' dukhon ki dhup mein jalte hue badan
baadal guzar gaya hai kai bar dekh kar

Ghazal
Dil ke shajar ko KHun se gulnar dekh kar
Saif Zulfi