dil ke sahra mein koi aas ka jugnu bhi nahin
itna roya hun ki ab aankh mein aansu bhi nahin
itni be-rahm na thi zist ki dopahr kabhi
in KHarabon mein kahin saya-e-gesu bhi nahin
kasa-e-dard liye phirti hai gulshan ki hawa
mere daman mein tere pyar ki KHushbu bhi nahin
chhin gaya meri nigahon se bhi ehsas-e-jamal
teri taswir mein pahla sa wo jadu bhi nahin
mauj-dar-mauj tere gham ki shafaq khilti hai
mujh ko is silsila-e-rang pe qabu bhi nahin
dil wo kam-baKHt ki dhaDke hi chala jata hai
ye alag baat ki tu zinat-e-pahlu bhi nahin
ye ajab rahguzar hai ki chaTanen to bahut
aur sahaare ko teri yaad ke bazu bhi nahin
hadisa ye bhi guzarta tha meri jaan hum par
paikar-e-sang hain do, main bhi nahin tu bhi nahin
Ghazal
Dil ke sahra mein koi aas ka jugnu bhi nahin
Noor Bijnauri