dil ke sab dagh khile hain gul-e-KHandan ho kar
rang laya hai ye ghuncha chamanistan ho kar
daman-e-tar hai ki daftar hai ye ruswai ka
meri aankhon ne Duboya mujhe giryan ho kar
nind aai jo kabhi zulf ke diwane ko
chaunk uTha KHwab-e-pareshan se pareshan ho kar
nigah-e-shauq to dar-parda KHabar leti hai
aap jaenge kahan aankh se pinhan ho kar
jalwa-gar aaina-KHane mein hua kaun hasin
naqsh-e-diwar hain sab aaine hairan ho kar
dil mein aae hain to ab dil se nikalte hi nahin
ghar pe qabza kiye baiThe hain wo mehman ho kar
shuhra-e-husn abhi kya hai shabab aane do
nam chamkega tumhaara mah-e-taban ho kar
qatl ke baad wafa meri jo yaad aai hai
sar jhukae hue baiThe hain pasheman ho kar
mast aankhon pe bikhar jati hai jab zulf 'jalil'
main samajhta hun ghaTa chhai hai mai-KHanon par
Ghazal
Dil ke sab dagh khile hain gul-e-KHandan ho kar
Jaleel Manikpuri