dil ke parde pe chehre ubharte rahe muskuraate rahe aur hum so gae
teri yaadon ke jhonke guzarte rahe thapthapate rahe aur hum so gae
yaad aata raha kucha-e-raftagan sar pe saya-fagan hijr ka aasman
na-rasai ke sadme utarte rahe dil jalate rahe aur hum so gae
hijr ke rat-jagon ka asar yun hua wasl-e-jaanan ka lamha basar yun hua
dosh par us ke gesu bikharte rahe gudgudate rahe aur hum so gae
kaise tajdid-e-ahd-e-wafa kijiye gham maza de rahe hain so kya kijiye
dar pe aa ke wo akasr Thaharte rahe khaTkate rahe aur hum so gae
awwal awwal to har shab qayamat hui rafta rafta hamein aisi aadat hui
ghar ke aangan mein gham raqs karte rahe ghul machate rahe aur hum so gae
Ghazal
Dil ke parde pe chehre ubharte rahe muskuraate rahe aur hum so gae
Irfan Sattar