dil ke nazdik to saya bhi nahin hai koi
is KHarabe mein to aaya bhi nahin hai koi
har suragh apni jagah ret mein madum hua
dur tak naqsh-e-kaf-e-pa bhi nahin hai koi
apne sukhe hue gul-dan ka gham hai mujh ko
aankh mein ashk ka qatra bhi nahin hai koi
dur se ek hayula sa nazar aata hai
pas se dekho to milta bhi nahin koi
kitne din hote hain hathon mein qalam tak na liya
kaghazon mein nazar aata bhi nahin hai koi
ek hi satr likhi thi ki ye ehsas hua
lafz aur mani mein rishta bhi nahin hai koi
Ghazal
Dil ke nazdik to saya bhi nahin hai koi
Atiiqullah