dil ke mausam ko kisi taur suhana kar de
zindagi karne ka koi to bahana kar de
hum ko ye shahr-e-hawas kaT raha hai kab se
hum faqiron ka kahin aur Thikana kar de
mangne chal to diye us se dil apna wapas
wo magar phir na koi taza bahana kar de
ahd-e-nau ras kab aaya hamein bhi yarab
is nae waqt ko pahle sa purana kar de
jo fasanon ko haqiqat mein badal deta hai
ye bhi mumkin hai haqiqat ko fasana kar de
fikr ko meri wo tasir ata kar yarab
mere sheron ko jo maqbul-e-zamana kar de
zindagi apni to guzri hai hawadis mein 'nigar'
mere bachchon ke muqaddar ko suhana kar de
Ghazal
Dil ke mausam ko kisi taur suhana kar de
Nigar Azeem