اردو हिंदी
Dil ke makan mein aankh ke aangan mein kuchh na tha | Shaahi Shayari
dil ke makan mein aankh ke aangan mein kuchh na tha

Ghazal

Dil ke makan mein aankh ke aangan mein kuchh na tha

Fazil Ansari

;

dil ke makan mein aankh ke aangan mein kuchh na tha
jab gham na tha hayat ke daman mein kuchh na tha

ye to zara batao hamein ahl-e-karwan
un rahbaron mein kya hai jo rahzan mein kuchh na tha

zulmat ka jab tilism na TuTa nigah se
raushan hua ki dida-e-raushan mein kuchh na tha

wo to bahaar ka hamein rakhna paDa bharam
warna ye waqia hai ki gulshan mein kuchh na tha

mujh par ba-taur-e-KHas thi us ki nigah-e-lutf
kahta main kis tarah mere dushman mein kuchh na tha

ye bhi durust hai ki nasheman mein barq thi
ye bhi ghalat nahin ki nasheman mein kuchh na tha

'fazil' ruKH-e-hayat pe yun thin masarraten
jaise gham-e-hayat ki uljhan mein kuchh na tha