dil ke jalte hue zaKHmon ka mudawa ban kar
phul mahke hain tere hath ka saya ban kar
main tere jism ko chhute hue yun Darta hun
tishnagi aur baDha dega tu dariya ban kar
kya Daraenge muqaddar ke andhere tujh ko
main chamakta hun tere hath pe rekha ban kar
waqt hai barf ki diwar to kaise pighle
KHun bhi aaankhon se Tapakta nahin shoala ban kar
hath aaya nahin kuchh sang-e-malamat ke siwa
shahr mein dekh liya hum ne tamasha ban kar
hadsa koi ho bujhti nahin aaankhon ki chamak
jism mein phail gaya hai wo ujala ban kar
aaine saf the kis kis ko wahan jhuTlata
har syahi nazar aai mera chehra ban kar
tishnagi lakh sahi ghar se na niklo 'rashid'
raat sine mein utar jaegi sahra ban kar

Ghazal
Dil ke jalte hue zaKHmon ka mudawa ban kar
Mumtaz Rashid