dil ke hathon KHarab ho jaana
zindagi kaamyab ho jaana
mujh se kab aise moajize honge
KHud hi izzat-maab ho jaana
aaj gul ban le zaKHm-e-tanhai
phir kabhi aaftab ho jaana
main ne taskin-e-karb mangi hai
ai dua mustajab ho jaana
jab kisi imtihan se KHauf lage
tum mere ham-rikab ho jaana
KHwab ko sach mein Dhaalne ki lagan
dekhiyo KHud na KHwab ho jaana
Ghazal
Dil ke hathon KHarab ho jaana
Balraj Hayat