dil ke ghao jab aaankhon mein aate hain
kitne hi zaKHmon ke shahr basate hain
karb ki ha-ha-kar liye jismon mein hum
jangal jangal sahra sahra jate hain
do dariya bhi jab aapas mein milte hain
donon apni apni pyas bujhate hain
sochon ko lafzon ki saza dene wale
sapnon ke sachche hone se ghabraate hain
dard ka zinda rahna pyas ka moajaza hai
diwane hi ye ban-bas kamate hain
tariKHon mein guzre mazi ki surat
ahl-e-junun ke naqsh-e-pa mil jate hain
dukh sukh bhi karta hai sar bhi phoDta hai
diwaron se farigh ke sau nate hain
Ghazal
Dil ke ghao jab aaankhon mein aate hain
Farigh Bukhari