اردو हिंदी
Dil ke darwaze pe dastak ki sada koi nahin | Shaahi Shayari
dil ke darwaze pe dastak ki sada koi nahin

Ghazal

Dil ke darwaze pe dastak ki sada koi nahin

Alqama Shibli

;

dil ke darwaze pe dastak ki sada koi nahin
kaun si manzil hai ye aawaz-e-pa koi nahin

majlis-e-alam se kis tarah nikle zindagi
ye wo zindan hai ki jis ka rasta koi nahin

karbala to aaj bhi milta hai har har gam par
shahar mein lekin husain-e-ba-wafa koi nahin

kuchh samajh kar hi kiya hai main ne us ka intiKHab
kya hua us rah mein gar naqsh-e-pa koi nahin

main jo uTTha to uTha sara zamana mere sath
tum jo uTThe to uTha dil ke siwa koi nahin

ai shab-e-furqat kahan bhaTkegi chal mere hi ghar
ye wo basti hai jahan raushan diya koi nahin

aatish-e-ehsas mein jalte raho 'shibli' sada
shairi se baDh ke duniya mein saza koi nahin