dil ke darwaze par nazar rakhiye
kaun aata hai ye KHabar rakhiye
panw bilkul nahin jalenge phir
dhup ke samne shajar rakhiye
dusre kaam bhi zaruri hai
apne sae ki bhi KHabar rakhiye
raushni banTte hai tare wahan
aasmanon pe bhi nazar rakhiye
kuchh charaghon ko rakhiye chaukhaT par
aur kuchh dil ki taq par rakhiye
ye phisal jaega kisi bhi jagah
dil ko thoDa sa tham kar rakhiye
Ghazal
Dil ke darwaze par nazar rakhiye
Renu Verma