dil ke dard ke kam hone ka tanha kuchh saman hua
hum bhi ab kai din ji lenge is ka bhi imkan hua
ek diye ki lau ne sara shahr jala kar KHak kiya
ek hawa ka jhonka ban kar aandhi aur tufan hua
aarzuon ki nichi sans ne us dar par dastak di
aur junun ka ek ek lamha mere ghar mehman hua
waqt ka kaTna us se puchho hijr mein jis ki guzri ho
ek ek lamha ek sadi tha kab hum par aasan hua
koi kisi ka mit nahin hai duniya kahti aai hai
hum ne jis ko apna jaana waqt pe wo anjaan hua
ishq uDanon ka dushman hai kya us ko malum na tha
dil ka panchhi qaid mein aa kar kyun itna hairan hua
tanha un ki gul-afshani kuchh na puchho kaisi hai
jab bhi hazrat-e-waiz bole sab ka ji halkan hua

Ghazal
Dil ke dard ke kam hone ka tanha kuchh saman hua
Raziya Faseeh Ahmad