dil ke dar par qufl paDa hai tum bhi chup ho hum bhi chup
KHamoshi ab shart-e-wafa hai tum bhi chup ho hum bhi chup
be-sauti ab saut-o-sada hai tum bhi chup ho hum bhi chup
lafzon ka dam TuT gaya hai tum bhi chup ho hum bhi chup
kal tak to jhankar salasil ki thi jine ka paigham
aaj ye kaisa waqt paDa hai tum bhi chup ho hum bhi chup
gulshan gulshan sahra sahra kis ne phunka aisa fusun
ek ek tair sang hua hai tum bhi chup ho hum bhi chup
dil se rishta TuT gaya hai ab to zaban ka bhi 'shibli'
is se baDh kar koi saza hai tum bhi chup ho hum bhi chup
Ghazal
Dil ke dar par qufl paDa hai tum bhi chup ho hum bhi chup
Alqama Shibli