dil ke daghon mein sitaron ki chamak baqi hai
shab-e-furqat abhi do-chaar palak baqi hai
surKH honTon ke diye zehan mein raushan hain abhi
abhi afkar mein zulfon ki mahak baqi hai
bazuon mein tere paikar ki latafat raqsan
ungliyon mein teri bahon ki lachak baqi hai
qasr-e-parwez mein gum ho gai shirin ki sada
daman-e-koh mein teshe ki dhamak baqi hai
sarsar-e-jaur ne har-chand KHizan bikhrai
phul mein aag shagufon mein lahak baqi hai
gul khilaegi abhi aur na jaane kya kya
ye jo pahlu mein mahakti si kasak baqi hai
Ghazal
Dil ke daghon mein sitaron ki chamak baqi hai
Noor Bijnauri