اردو हिंदी
Dil ke bujhte hue zaKHmon ko hawa deta hai | Shaahi Shayari
dil ke bujhte hue zaKHmon ko hawa deta hai

Ghazal

Dil ke bujhte hue zaKHmon ko hawa deta hai

Zakir Khan Zakir

;

dil ke bujhte hue zaKHmon ko hawa deta hai
rose aata hai naya KHwab dikha deta hai

us ka andaz-e-masihai nirala sab se
chaaragar hosh mein aane pe dawa deta hai

har qadam KHak mein kuchh KHwab milate rahna
hijr ki raat yahi shaghl maza deta hai

marne jine ka kahan hosh tere rindon ko
pa-e-wahshat bhi ajab naqsh bana deta hai

dastaken deta hai paiham dar-e-dil par koi
ek saya mujhe nindon se jaga deta hai

phul sa lahja hua karta tha jis ka 'zakir'
ab wo baaton mein koi baat bana deta hai