dil ke andar dard aankhon mein nami ban jaiye
is tarah miliye ki juzw-e-zindagi ban jaiye
ek patinge ne ye apne raqs-e-aKHir mein kaha
raushni ke sath rahiye raushni ban jaiye
jis tarah dariya bujha sakte nahin sahra ki pyas
apne andar ek aisi tishnagi ban jaiye
dewta banne ki hasrat mein muallaq ho gae
ab zara niche utariye aadmi ban jaiye
aql-e-kul ban kar to duniya ki haqiqat dekh li
dil ye kahta hai ki ab diwangi ban jaiye
jis tarah KHali anguThi ko nagina chahiye
aalam-e-imkan mein ek aisi kami ban jaiye
aalam-e-kasrat nahin hai is ikai mein 'salim'
KHud mein KHud ko jama kije aur kai ban jaiye

Ghazal
Dil ke andar dard aankhon mein nami ban jaiye
Saleem Ahmed