dil ke aate hi ye naqsha ho gaya
kya bataun dosto kya ho gaya
tum ne fursat pai ghar baiThe tabib
mar gaya bimar achchha ho gaya
kar chuka tha kaam afsun-e-raqib
aaj hum se un se parchha ho gaya
un pe dil aaya baDi mushkil paDi
muddai pahlu mein paida ho gaya
hae betabi ne meri kya kiya
haal sab un par huwaida ho gaya
ek zalim par tabiat aa gai
phir wahi ab haal mera ho gaya
shukr hai paida kiya KHaliq ne jism
ruh ka kuchh din ko parda ho gaya
khul gae zaKHmon ke munh achchha hua
dard ke baDhne ko rasta ho gaya
tu hi chal ai ruh josh-e-shauq hai
KHat ke aane mein to arsa ho gaya
waqt-e-bad kuchh puchh kar aata nahin
hanste hanste un se jhagDa ho gaya
haal kyun abtar hai is darja 'nasim'
sach kaho dil kis pe shaida ho gaya
Ghazal
Dil ke aate hi ye naqsha ho gaya
Naseem Dehlvi