dil ke aaine mein nit jalwa-kunan rahta hai
hum ne dekha hai tu ai shoKH jahan rahta hai
koi din ghar se na nikle hai agar wo KHurshid
muntazir sham talak ek jahan rahta hai
jhaD daman ke tain mar ke Thokar nikle
kahin roke se bhi wo sarw-e-rawan rahta hai
gahe mahe ai mah-e-id idhar bhi to guzar
roz o shab bazm mein tera hi bayan rahta hai
bawajud-e-ki mujhe rabt-e-dili hai us se
ye na puchha kabhu 'iman' kahan rahta hai
Ghazal
Dil ke aaine mein nit jalwa-kunan rahta hai
Sher Mohammad Khan Iman