dil kahin bhi nahin lagta hoga
dil nahin manta aisa hoga
jitna hangama ziyaada hoga
aadmi utna hi tanha hoga
chalta-phirta hai sitara mera
ab kahin aur chamakta hoga
main ne ek baat chhupa rakkhi hai
ab usi baat ka charcha hoga

Ghazal
Dil kahin bhi nahin lagta hoga
Bedil Haidri