dil ka ye dasht arsa-e-mahshar laga mujhe
main kya bala hun raat baDa Dar laga mujhe
aage bhi ishq mein huin ruswaiyan magar
ab ke wafa ka zaKHm jabin par laga mujhe
ai dil wo mehrban hai yunhi bad-guman na ho
mara tha us ne ghair ko patthar laga mujhe
har su tere wajud ki KHushbu thi KHema-zan
wo din ki apna ghar bhi tera ghar laga mujhe
hans kar na Tal ja ki ye ummid ki kiran
wo tir hai ki sine ke andar laga mujhe
tariki-e-hayat ka andaza kar ki aaj
dagh-e-shikast mahr-e-munawwar laga mujhe
sanche to the ghazal ke siwa bhi magar 'zafar'
kya jaane kyun ye zarf hasin-tar laga mujhe
Ghazal
Dil ka ye dasht arsa-e-mahshar laga mujhe
Zafar Iqbal