dil ka sara ghor andhera dur hua
kis ka hai ye nur jo main pur-nur hua
zaKHm risa phir zaKHm-e-dil nasur hua
rafta rafta jaise bhagalpur hua
yun to hum ne qisse likkhe ranga-rang
lekin gham ka qissa hi mashhur hua
pani pani chiKH raha tha pyasa dil
shahr-e-sitam ka kaisa ye dastur hua
kaisa mulk-shor bapa hai KHeme mein
aankhen suni dil ka shisha chur hua
ab ke mausam sadiyon ka tahzibi rang
KHatm hua barbaad hua kafur hua
shahr mein tere kis se gila phir karte hum
'aKHtar' jab apna hi saya dur hua
Ghazal
Dil ka sara ghor andhera dur hua
Kalim Akhtar