dil ka sara dard bhara taswiron mein
ek musawwir naqsh hua taswiron mein
chand lakiren to is darja gahri thin
dekhne wala Dub gaya taswiron mein
ek ajab sa jadu bikhra rangon ka
sab ko apna aks dikha taswiron mein
ek purane zaKHm ke Tanke TuT gae
ek purana dard mila taswiron mein
bhuli-bisri yaadon ke manzar chamke
mazi ka ek bab khula taswiron mein
har chehre ke pichhe sau chehre ubhre
sab ka parda fash hua taswiron mein
waqt kahan muTThi mein aane wala tha
lekin hum ne bandh liya taswiron mein
baat zaban par lane ki pabandi thi
hum ne sab kuchh darj kiya taswiron mein
dekh sakega kaun banane wale ko
sab ka sara dhyan laga taswiron mein
Ghazal
Dil ka sara dard bhara taswiron mein
Manish Shukla