dil ka moamla nigah-e-ashna ke sath
aise hai jaise rabta-e-gul saba ke sath
dekho to pech-o-tab ki surat ki mil gai
sham-e-firaq bhi teri zulf-e-dota ke sath
ye kya bahaar hai ki dikhai gai mujhe
shoalon ki aanch bhi gul-e-rangin-qaba ke sath
ye kya tilism hai ki sunaya gaya mujhe
saz-e-shikast-e-dil teri aawaz-e-pa ke sath
ai dosto yahi hai qayamat ki roz-e-hashr
hum bhi jagae jaenge KHalq-e-KHuda ke sath
gulshan mein aai pairahan-e-rang ban gai
wo mauj-e-KHun ki chehra-kusha thi hina ke sath
'abid' bayan-e-jalwa-nagah kya karun
KHubi ada ke sath hai shoKHi haya ke sath
Ghazal
Dil ka moamla nigah-e-ashna ke sath
Syed Aabid Ali Aabid