dil ka mausam zard ho to kuchh bhala lagta nahin
koi manzar koi chehra KHushnuma lagta nahin
dhundle dhundle ajnabi se log aate hain nazar
muddaton ka aashna bhi aashna lagta nahin
saKHt mushkil ho gaya hai imtiyaz-e-KHub-o-zisht
phul si poshak mein bad-KHu bura lagta nahin
luT kar aate nahin kyun aashiyanon ki taraf
bhole-bhaale panchhiyon ka kuchh pata lagta nahin
yasiyat jab phail jae matla-e-afkar par
rasta koi bhi apna rasta lagta nahin
iltija ki Tahniyan hoti nahin hain kyun hari
kyun samar meri dua mein ai KHuda lagta nahin
Ghazal
Dil ka mausam zard ho to kuchh bhala lagta nahin
Zameer Azhar