dil ka khoj na paya hargiz dekha khol jo qabron ko
jite ji DhunDe so pawe KHabar karo be-KHabron ko
toshak baala posh razai hai bhule majnun barson tak
jab dikhlawe zulf sajan ki ban mein aawte abron ko
kafir nafas har ek ka tarsa zar kun paya baKHton sin
aatish ki puja mein guzri umr tamam un gabron ko
mard jo aajiz ho tan man sin kahe KHush-amad bawar kar
mohtaji ka KHasa hai rubah kare hai babron ko
wada chuk phir aaya 'naji' dars ki KHatir phaDke mat
chhuT gale tere ai zalim sabr kahan be-sabron ko
Ghazal
Dil ka khoj na paya hargiz dekha khol jo qabron ko
Naji Shakir