dil ka ek ek dagh sham-e-zer-e-daman ho gaya
hum jahan pahunche wahin jashn-e-charaghan ho gaya
chaak-e-dil ki baat thi chaak-e-jigar ki baat thi
muft mein ruswa mera chaak-e-gareban ho gaya
raqs kar yun ek ek band-e-anasir TuT jae
ai junun pabandiyon se dil pareshan ho gaya
kis se puchhun irtiqa ki kaun si manzil hai ye
aadmi KHud aadmi ka dushman-e-jaan ho gaya
chhoDiye afsana-e-insan ko insan ab kahan
wo to bechaara halak-e-kufr-o-iman ho gaya
phul mahrum-e-tabassum aur saba mazur-e-raqs
ye gulistan kya hua ai 'naqsh' zindan ho gaya
Ghazal
Dil ka ek ik dagh sham-e-zer-e-daman ho gaya
Maqbool Naqsh