dil ka har zaKHm jawan ho to ghazal hoti hai
dard nas nas mein rawan ho to ghazal hoti hai
dil mein ho shauq-e-mulaqat ka tufan bapa
aur raste mein chunan ho to ghazal hoti hai
shauq hasrat ke shararon se jila pata hai
jaan-e-jaan dushman-e-jaan ho to ghazal hoti hai
kuchh bhi hasil nahin yak-tarfa mohabbat ka janab
un ki jaanib se bhi han ho to ghazal hoti hai
shaukat-e-fan ki qasam husn-e-taKHyyul ki qasam
dil ke kabe mein azan ho to ghazal hoti hai
main agar un ke KHad-o-KHal mein kho jaun kabhi
wo kahen naz kahan ho to ghazal hoti hai
Ghazal
Dil ka har zaKHm jawan ho to ghazal hoti hai
Naz Naz Khialvi