dil ka gila falak ki shikayat yahan nahin
wo mehrban nahin to koi mehrban nahin
hum aaj tak chhupate hain yaron se raaz-e-ishq
haalanki dushmanon se ye qissa nihan nahin
zeba nahin hai dost se karna moamla
kuchh warna naz jaan ke badle giran nahin
hum zumra-e-raqib mein mil kar wahan gae
jab shauq rahnuma ho koi pasban nahin
aashufta misl-e-baad hun betab misl-e-barq
kyunkar muin-e-charKH teri shoKHiyan nahin
hum aap par nisar karen kaenat ko
par kya karen bisat mein juz nim-jaan nahin
saman-e-wajd fitna-e-mahshar ko de diya
wo KHak par hamari jo daman-kashan nahin
kyun hain nadim-e-dost sifarish mein ghair ki
kya hum ko un se rasm-o-rah-e-armughan nahin
ek haal-e-KHush mein bhul gae kaenat ko
ab hum wahan hain mutrib o saqi jahan nahin
kis kis pe rashk kijiye kis kis ko roiye
kis din wo jalwa aafat-e-sad-KHanuman nahin
kyun ye hujum-e-shor-o-shaghab hai nushur mein
aisa to 'shefta' hamein KHwab-e-giran nahin
Ghazal
Dil ka gila falak ki shikayat yahan nahin
Shefta Mustafa Khan