dil ka gham se gham ka nam se rabta banta gaya
dhire dhire barishon ka silsila banta gaya
dard-o-gham sahne ki aadat is qadar puKHta hui
haarna aaKHir hamara mashghala banta gaya
ek ek kar ke bahut dukh sath mere ho liye
marhala-dar-marhala ek qafila banta gaya
zabt ka daman jo chhuTa hath se mere to phir
mera chehra karb ka ek aaina banta gaya
har taraf phaila hua tha be-yaqini ka dhuan
KHud-baKHud 'faruq' phir ek rasta banta gaya
Ghazal
Dil ka gham se gham ka nam se rabta banta gaya
Zubair Farooq