dil ka bura nahin magar shaKHs ajib Dhab ka hai
mujh se hai KHas dushmani waise to yar sab ka hai
duriyon ne miTa diye jo bhi the qurbaton ke ranj
ab meri baat baat mein rang teri talab ka hai
mere lahu mein thi rawan jab tere sans ki mahak
jaane ye kab ki baat hai jaane ye zikr kab ka hai
ek zara si baat par badli thi jab teri nazar
tujh ko KHabar nahin magar dil to udas tab ka hai
kyun na dil-e-KHizan-nasib har gul-e-tar ko chum le
aaj to phul phul mein zaiqa us ke lab ka hai
kaif-o-nashat-o-sar-KHushi nematen sab usi ki hain
mujh ko ata kiya hua dard bhi mere rab ka hai
shaukat-o-shan-e-izdi dil ne kahan se sikh li
sab se hai be-niyaz bhi dhyan bhi us ko sab ka hai
rah dikhai tak na di tira-shabi bala ki thi
aankh na khul saki meri nur bhi is ghazab ka hai
hashr ka din bhi ho to kya ye bhi nasib hai mera
din hai guzar hi jaega KHauf to mujh ko shab ka hai
Ghazal
Dil ka bura nahin magar shaKHs ajib Dhab ka hai
Shahzad Ahmad