اردو हिंदी
Dil ka ajib haal hai teri sada ke baad | Shaahi Shayari
dil ka ajib haal hai teri sada ke baad

Ghazal

Dil ka ajib haal hai teri sada ke baad

Mahmood Shaam

;

dil ka ajib haal hai teri sada ke baad
jaise ki aasman ka manzar ghaTa ke baad

kya kya nuqush hum ne ubhaare the ret par
baqi raha na koi bhi wahshi hawa ke baad

bikhri hui thin chaar-su phulon ki pattiyan
gulshan sanwar sanwar gaya baad-e-sada ke baad

ab tak faza mein gunjti hai ek naghmagi
sara jahan hi raqs mein hai is sada ke baad

ab tak jala rahi hai hamein tohmaton ki dhup
hum to ujaD ho gae fasl-e-wafa ke baad

yaaden khule kiwaD ye mahki hui faza
kaun aa raha hai sham ye ThanDi hawa ke baad