dil juda mal juda jaan juda lete hain
apne sab kaam bigaD kar wo bana lete hain
ho hi rahta hai kisi but ka nazara ta-sham
subh ko uTh ke jo hum nam-e-KHuda lete hain
majlis-e-waz mein jab baiThte hain hum mai-kash
duKHtar-e-raz ko bhi pahlu mein biTha lete hain
aise bose ke ewaz mangte hain dil kya KHub
ji mein sochen to wo kya dete hain kya lete hain
apni mahfil se uThae hain abas hum ko huzur
chupke baiThe hain alag aap ka kya lete hain
but bhi kya chiz hain allah salamat rakkhe
galiyan de ke gharibon ki dua lete hain
shaKH-e-marjaan mein jawahar nazar aate hain 'amir'
kabhi ungli jo wo danton mein daba lete hain
Ghazal
Dil juda mal juda jaan juda lete hain
Ameer Minai