dil jis se kanpta hai wo saat bhi aaegi
wo aaega to koi musibat bhi aaegi
main aaj teri rah ka patthar sahi magar
kal tujh ko pesh meri zarurat bhi aaegi
jhele hain apni jaan pe hum ne wo hadse
dil manta nahin ki qayamat bhi aaegi
us ki kashidgi ka sabab kuchh bhi ho magar
mujh ko guman na tha ki ye naubat bhi aaegi
ai rah-naward saya-e-ashjar hi nahin
kuchh tere kaam dhup ki hiddat bhi aaegi
kya faeda jo apni safai mein kuchh kahun
main jaanta tha mujh pe ye tohmat bhi aaegi
Ghazal
Dil jis se kanpta hai wo saat bhi aaegi
Rashid Mufti