dil jis ka dard-e-ishq ka hamil nahin raha
wo shaKHs tere pyar ke qabil nahin raha
jab bhi hinai hathon se gesu sanwar gae
aaina-e-bahaar muqabil nahin raha
har aastan se lauT ke aana paDa use
jo tere dar pe aane ke qabil nahin raha
mahrumiyan hi jis ka muqaddar hain dosto
wo mahfil-e-nashat ke qabil nahin raha
jab tum na the to kuchh bhi nahin tha bahaar mein
tum aa gae to koi muqabil nahin raha
diwane tere Dub gae gahri nind mein
zindan mein shor-e-tauq-o-salasil nahin raha
jab aap muskurae gham-e-dil ki baat par
dil dard ko chhupane ke qabil nahin raha
tanhaiyon ki bazm hi achchhi rahi 'KHayal'
mahfil mein pur-sukun kabhi dil nahin raha

Ghazal
Dil jis ka dard-e-ishq ka hamil nahin raha
Faiz ul Hasan