dil jin ko DhunDhta hai na-jaane kahan gae
KHwab-o-KHayal se wo zamane kahan gae
manus baam-o-dar se nazar puchhti rahi
un mein base wo log purane kahan gae
us sarzamin se thi jo mohabbat wo kya hui
bachchon ke lab pe the jo tarane kahan gae
apni KHata pe sar ko jhukaya hai aaj kyun
azbar jo aap ko the bahane kahan gae
patthar samaaton se zaban gung ho gai
hum bhi gae to haal sunane kahan gae
be-mahri-e-yahat tujhe kuchh KHabar bhi hai
dekhe gae jo KHwab suhane kahan gae
bachpan saheliyan wo hama-waqt ki hansi
'amabar' wo zindagi ke KHazane kahan gae
Ghazal
Dil jinko DhunDhta hai na-jaane kahan gae
Ambareen Haseeb ambar