dil jal ke rah gae zaqan-e-rashk-e-mah par
is qafila ko pyas ne mara hai chah par
gesu ko naz hai dil-e-raushan ki chah par
parwana ye charagh hai mar-e-siyah par
nind uD gai giran hai ye shab rashk-e-mah par
bijli na kyun falak se gire meri aah par
hai yaad KHuftgan-e-zamin ka jo KHatt-e-sabz
bhule se main qadam nahin rakhta giyah par
luTta hai KHana-e-dil-e-ashiq bachaiye
bigDi hui hai fauj-e-mizha kis gunah par
tasir ka hai KHauf unhen ain shauq mein
hai dil pe hath kan hain aawaz-e-ah par
mahshar bapa hai band hain kushton ke raste
qad baDh par hai baDh hai tegh-e-nigah par
kya aadmi ki KHak ko raundun main rahm-dil
rota hai paemali-e-mardum-giyah par
kahte ho kis ke qalb mein uThta hai shab ko dard
rota hai dil mera mere haal-e-tabah par
aaKHir talash-e-gor hui dil ko ishq mein
barson tabah ho ke ab aaya hai rah par
dil ke muamle mein na ho daKHl ghair ko
lena jo ho to lijiye apni nigah par
upar ki sans lene ka aazar ho gaya
jis ki nazar paDi teri tirchhi nigah par
baKHiya jarahat-e-dil-e-nazuk-mizaj ka
mauquf hai huzur ke tar-e-nigah par
Ghazal
Dil jal ke rah gae zaqan-e-rashk-e-mah par
Taashshuq Lakhnavi