dil jahan bhi Duba hai un ki yaad aai hai
hae kya sukun-parwar dard-e-ashnai hai
tum sarab ban ban kar apni chhab dikhate ho
tishna-lab musafir ki jaan par ban aai hai
ye kashakash-e-hasti kitni dur le aai
din kahan guzara hai shab kahan ganwai hai
zindagi teri KHatir tere dard-mandon ne
ek jahan ki tohmat apne sar uThai hai
roz-o-shab meri KHatir jis ka dil dhaDakta tha
ab ye haal hai us ki yaad bhi parai hai
main sada-e-gum-gashta main ada-e-na-zeba
mera nam kitnon ko wajh-e-KHud-numai hai
KHwab ho chuke 'shahin' sare waqiye phir bhi
shahr shahr mein ab tak dastan-sarai hai

Ghazal
Dil jahan bhi Duba hai unki yaad aai hai
Shaheen Gazipuri