dil jab se dard-e-ishq ke qabil nahin raha
ek nagawar chiz hai ab dil nahin raha
wo main nahin raha wo mera dil nahin raha
ab un ko munh dikhane ke qabil nahin raha
kya iltija-e-did karun dekhta hun main
aaina bhi hamesha muqabil nahin raha
ab wo KHafa hue hain to yun bhi hai ek KHushi
marna hamare waste mushkil nahin raha
duniya gharaz ki rah gai ab is se kiya gharaz
chaliye ki lutf-e-shirkat-e-mahfil nahin raha
sun sun ke ahl-e-ishq-o-mohabbat ke waqiat
duniya ka koi kaam bhi mushkil nahin raha
duniya ke nek-o-bad pe meri rae kuchh nahin
ab tak idhar KHayal hi mail nahin raha
mujh se na puchho hasrat-e-araish-e-jamal
aaina ban ke un ke muqabil nahin raha
ek na-umid ke liye itna na sochiye
aazurda dil raha bhi to be-dil nahin raha
wo jaan le chuken to koi un se puchh le
ab to kuchh us gharib pe fazil nahin raha
aaya na KHwab mein bhi kabhi ghair ka KHayal
ghaflat mein bhi main aap se ghafil nahin raha
be-bandagi bhi us ki rahi banda-parwari
milta raha agarche main sail nahin raha
wo hath hain safi' mujhe ek aastin ka sanp
gardan mein dost ke jo hamail nahin raha

Ghazal
Dil jab se dard-e-ishq ke qabil nahin raha
Safi Aurangabadi