dil iztirab mein hai jigar iltihab mein
dekha hai jab se main ne kisi ko naqab mein
khul jaane mein wo kaif aur wo dilkashi kahan
hai jab kisi ki sharm-o-haya-o-hijab mein
main khinchta hun hath sukun ki talash se
jab dekhta hun ek jahan ko azab mein
ai shaiKH kash tu bhi kabhi pi ke dekhta
hai talKHi-e-hayat ka darman sharab mein
ye shoKHiyan ye ghaflaten ye hoshyariyan
andaz sau tarah ke hain tere shabab mein
kya aaj bhi rahengi sitaron se chashm-gin
kya aaj bhi na aaenge wo mahtab mein
ek ek ada-e-husn hamari nazar mein hai
ulfat ki chashni hai nigah-e-itab mein
'saib' na puchh haal-e-dil-e-gham-zadah na puchh
har sans meri in dinon hai iztirab mein
Ghazal
Dil iztirab mein hai jigar iltihab mein
Saib Asmi