dil ishq mein tabah hua ya ki jal gaya
achchha hua KHalish gai kanTa nikal gaya
ulfat mein us ki jaan gai dil bhi jal gaya
dushman ka do hi din mein diwala nikal gaya
dil apna us se mangne ko main jo kal gaya
aankhen nikalen laDne ko fauran badal gaya
jalte hain ghair apna to matlab nikal gaya
qismat se baat ban bhi gai daw chal gaya
tarif-e-husn-e-yar ne is ko kya raqib
rahbar bhi beach raste mein hum se badal gaya
karta hun arz un se jo chalne ki main kahin
kahte hain kya dimagh tumhaara bhi chal gaya
bhaari hai raat hijr ki bimar par tere
phir us ko KHauf kuchh nahin ye din jo Tal gaya
dushman ke naqsh-e-pa ko jo dete ho galiyan
piTo lakir sanp to aaya nikal gaya
kis rang mein wo rahte hain us ki KHabar nahin
mahfil mein in ki aaj main pahle-pahal gaya
arman kya gae ki gaya dil bhi ishq mein
ye wo jua hai jis mein hamara mudal gaya
wo jalwa-gah-e-naz ho ya bazm-e-ghair ho
jannat hamein wahin hai jahan dil bahal gaya
dushman bhi jaan-nisar bane de ke apna dil
hairat hai mujh ko rupaya khoTa bhi chal gaya
anjam-e-ishq dekh liya apni aankh se
ab to safi' dimagh ka tere KHalal gaya

Ghazal
Dil ishq mein tabah hua ya ki jal gaya
Safi Aurangabadi