dil ishq mein be-payan sauda ho to aisa ho
dariya ho to aisa ho sahra ho to aisa ho
ek KHal-e-suwaida mein pahnai-e-do-alam
phaila ho to aisa ho simTa ho to aisa ho
ai qais-e-junun-pesha 'insha' ko kabhi dekha
wahshi ho to aisa ho ruswa ho to aisa ho
dariya ba-hubab-andar tufan ba-sahab-andar
mahshar ba-hijab-andar hona ho to aisa ho
hum se nahin rishta bhi hum se nahin milta bhi
hai pas wo baiTha bhi dhoka ho to aisa ho
wo bhi raha begana hum ne bhi na pahchana
han ai dil-e-diwana apna ho to aisa ho
is dard mein kya kya hai ruswai bhi lazzat bhi
kanTa ho to aisa ho chubhta ho to aisa ho
hum ne yahi manga tha us ne yahi baKHsha hai
banda ho to aisa ho data ho to aisa ho
Ghazal
Dil ishq mein be-payan sauda ho to aisa ho
Ibn e Insha